andeshoñ ke shahr meñ rahnā terī merī aadat hai
mahrūmī ke sadme sahnā terī merī aadat hai
armānoñ kī nāzuk mālā.eñ pahnānā shāmoñ ko
yaad pavan ke saath hī bahnā terī merī aadat hai
ḳhuub sulagte jaanā barfīle lamhoñ ke sāyoñ meñ
dukh kā ek bhī lafz na kahnā terī merī aadat hai
ḳhvāboñ se bahlānā dil ko ho jaanā behad masrūr
logoñ kī ta.abīreñ sahnā terī merī aadat hai
sub.h irāde din tadbīreñ shaam ḳhalish aur shab tashvīsh
har hālat meñ zinda rahnā terī merī aadat hai
qurb-e-'qaisar' be-bas honā duurī kā sah lenā rog
jiine kī rūdād na kahnā terī merī aadat hai