ai ham-nafaso dard kī ye raat kaḌī hai
sar thāme hue dil meñ kahīñ aas khaḌī hai
ham-rañg-e-shafaq hai dil-e-ma.asūm kā aalam
vo daur-e-tamanna kī sahar chup ke khaḌī hai
ujlī thī tirī yaad kī ye zard sī pattī
ḳhākistar-e-ayyām meñ ḳhāmosh paḌī hai
un āñkhoñ meñ phir dekhā hayā rañg-e-tabassum
raste meñ qazā se mirī phir aañkh laḌī hai
phir dast-e-sabā ne vo gajar aaj bajāyā
palkoñ pe phir ik baar mirī niiñd uḌī hai
phir shahr-e-ġhazālāñ meñ ġhazal laayā hai 'qaisar'
sūrat-kada-e-husn meñ phir dhuum paḌī hai