Qaisar Qalandar

tujhse bichhaD ke dard tera ham-safar raha

Qaisar Qalandar

tujh se bichhaḌ ke dard tirā ham-safar rahā
maiñ rāh-e-ārzū meñ akelā kabhī na thā
ye aur baat raat javāñ thī javāñ rahī
saaqī udāsiyoñ ke mujhe jaam de gayā
bāzār-e-vaqt se kahāñ jins-e-vafā ga.ī
tanhā hai māh-e-misr kā jaltā huā diyā
tārīk thī ye raat magar yaad kī kiran
aa.ī to nūr-e-husn kā darvāza phir khulā
haa.il hue diloñ pe ye anjāne fāsle
pahle hamāre darmiyāñ kui fāsla na thā
hāthoñ meñ raat aas kī sham.eñ liye hue
tārīkiyoñ meñ tujh ko pukārā hai bārhā
ai jannat-e-ḳhayāl nigāh-e-fusūñ-shi.ār
'qaisar' ko apne gesuoñ meñ aaj phir chhupā
Top Urdushayar.com