jab dard kī sham.eñ jaltī haiñ ehsās ke nāzuk siine meñ
ik husn sā shāmil hotā hai phir tanhā tanhā jiine meñ
kuchh lutf kī garmī kī ḳhātir kuchh jān-e-vafā ke sadqe meñ
gesū-e-alam ke saa.e meñ rāhat sī milī hai piine meñ
āġhosh-e-tamannā chhū aa.eñ jab zulf-e-yār kī ḳhushbū meñ
āñkhoñ meñ sāvan lahrāyā dīpak sā sulgā siine meñ
mausīqī-e-husn kī maujeñ thī kuchh āñkhoñ meñ kuchh pyāloñ meñ
jo sāhil-e-dil tak ho aa.eñ yādoñ ke ek safīne meñ
palkoñ meñ sulagte tāroñ se maiñ raat kī afshāñ chun na sakā
sho.aloñ ko chhupā.e phirtā huuñ maiñ dil ke ek nagīne meñ
vo rañg-e-hayā ehsās-e-tarab ā.īna-e-ruḳh ke aks-fagan
ik tābish tere chehre kī ik aañch sī mere siine meñ
kaliyoñ ne ghūñghaT sarkā.e shabnam ne motī rol diye
lazzat sī milī hai ashkoñ se ye chaak jigar kā siine meñ
naġhmoñ kī chāñdnī chhiTkī hai sheroñ ke shabistāñ mahke haiñ
phir sāz-e-ġhazal le aayā huuñ ik lutf hai aksar jiine meñ