Qaisar Qalandar

ye dard-e-la-zawal tumhein kaun de gaya

Qaisar Qalandar

ye dard-e-lā-zavāl tumheñ kaun de gayā
sarmāya-e-jamāl tumheñ kaun de gayā
mausīqiyoñ kī chāñdnī nikhrī hai lafz lafz
ye ishrat-e-ḳhayāl tumheñ kaun de gayā
is vādī-e-sukūn-o-musarrat ke bāvajūd
ye rañj ye malāl tumheñ kaun de gayā
kab tak talāsh kījiye āsūda-hāliyāñ
afsurda māh-o-sāl tumheñ kaun de gayā
dil ke qarīb hijr kī rut ḳhema-zan huī
tahniyyat-e-visāl tumheñ kaun de gayā
mafqūd ho ga.ī haiñ yahāñ lab-kushā.iyāñ
ye Dher bhar savāl tumheñ kaun de gayā
ra.anā.iyoñ ke lab pe mukarrar savāl hai
be-aib ḳhadd-o-ḳhāl tumheñ kaun de gayā
Top Urdushayar.com