Nayyar Qureshi Gangohi

yun zindagi ki humne siyah raat kaT di

Nayyar Qureshi Gangohi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1938
yuuñ zindagī kī ham ne siyah raat kaaT dī
bin chhat ke ghar meñ jaise ki barsāt kaaT dī
aatā ho mulk-o-qaum kī izzat pe jis se harf
ham ne ḳhudā-gavāh vo har baat kaaT dī
guzrī jo nāgavār hamāre zamīr ko
mil bhī ga.ī to ham ne vo sauġhāt kaaT dī
ban jaa.e vaj.h-e-dushmanī jo do gharoñ ke beach
bachchoñ kī ham ne aisī mulāqāt kaaT dī
tūfāñ meñ bhī ḳhudā ke havāle rahī hayāt
yuuñ hañs ke ham ne gardish-e-āfāt kaaT dī
tark-e-ta.alluqāt kā anjām soch kar
ham ne tamām umr tire saath kaaT dī
ahl-e-ġharaz kī chalne na dī koī ham ne chaal
matlab-parast logoñ kī har baat kaaT dī
jin se na kuchh milā hameñ rusvā.ī ke sivā
un dostoñ kī ham ne mulāqāt kaaT dī
'nayyar' ko le chalī thī jo shahr-e-ġhurūr meñ
ham ne vo rahguzār-e-ḳhurāfāt kaaT dī
Top Urdushayar.com