Nayyar Qureshi Gangohi

kal uske nek banne ka imkan bhi to hai

Nayyar Qureshi Gangohi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1938
kal us ke nek banñe kā imkān bhī to hai
mujrim zarūr hai magar insān bhī to hai
chehra hasīñ vo dushman-e-īmān bhī to hai
lekin nashāt-e-rūh kā sāmān bhī to hai
ġhurbat kī Thokaroñ meñ jo pal kar javāñ huā
tūfāñ ke rū-ba-rū vahī chaTTān bhī to hai
kal tak uThī thiiñ jis kī sharāfat pe uñgliyāñ
apne kiye pe aaj pashemān bhī to hai
huuñ apne dostoñ kī nigāhoñ meñ mohtaram
mujh ko milā ḳhulūs kā vardān bhī to hai
qurbat hai us kī vaj.h-e-qarār-o-sukūñ magar
us kā shabāb hashr kā sāmān bhī to hai
samjhā gayā hai jis ko sharāfat kā pāsdār
bātin meñ bad-shi.ār vo shaitān bhī to hai
qātil tū ghar pe kaise kahūñ maiñ burā bhalā
izzat-ma.āb hai mirā mehmān bhī to hai
'nayyar' junūn-e-shauq meñ rusvā huā to kyā
us kī alag samāj meñ pahchān bhī to hai
Top Urdushayar.com