ḳhānoñ meñ ḳhud hī baT ke ab insān rah gayā
dekhā jab apnā hashr pareshān rah gayā
purkhoñ kī shāndār havelī kā zikr chhoḌ
ābād kar khañDar ko jo vīrān rah gayā
gard-e-safar meñ phuul se chehre utar ga.e
ā.īna un ko dekh ke hairān rah gayā
dil bhar gayā hai apnā masāfat ke shauq meñ
manzil hai duur rasta bhī sunsān rah gayā
ham jāgte the madd-e-muqābil rahe magar
ḳhāmosh inqalāb thā tūfān rah gayā
kis ne diyā thā sulh-o-safā.ī kā mashvara
bastī meñ ho ke jañg kā elaan rah gayā
qismat kā hai zavāl ki mehnat kī hai kamī
ham ne kiyā jo kaam bhī nuqsān rah gayā
ham ne diyā thā ḳhuun bhī us ke liye magar
vo mar gayā ġharīb kā ehsān rah gayā
'nayyar' ne sādgī se guzārī hai zindagī
makkāriyoñ se apnoñ kī anjān rah gayā