jaa.e āshiq kī balā hashr meñ kyā rakkhā hai
ek fitna tirī Thokar kā uThā rakkhā hai
lutf-e-kaunain hai is meñ mirī botal kī piyo
zāhido chashma-e-tasnīm meñ kyā rakkhā hai
mil hī jaatā hai koī chheḌne vaalā mujh ko
tum alag ho to mujhe dil ne satā rakkhā hai
kal vo fitna bhī qayāmat meñ qayāmat hogā
jis ko aaj aap ne qadmoñ se lagā rakkhā hai
aa.e mayyat pe kis andāz se farmāte haiñ
dam mire chheḌne ko us ne churā rakkhā hai
dil uḌe jaate haiñ har fitna-e-āvāz ke saath
baiTh kar pardoñ meñ ik hashr uThā rakkhā hai
ḳhush rahoge jo piyo baada faqīrī meñ 'vasīm'
mujh ko ik mast ne ye bhed batā rakkhā hai