kyā huā us ne jo āshiq se jafākārī kī
ruuh ne jabki na qālib se vafādārī kī
lambī dāḌhī bhī kisī haath se rusvā hogī
hazrat-e-shaiḳh sazā pā.eñge makkārī kī
tū vo zālim hai gayā naaz se itrā ke jo vaañ
dāvar-e-hashr ne bhī terī taraf-dārī kī
daaġh raushan mire siine pe jo dekhe us ne
mohr-e-pur-nūr pe bhaptī kahī chiñgārī kī
ġham-e-majnūñ meñ siyah-posh banī hai lailā
ai junūñ ye shab-e-hijrāñ kī nahīñ tārīkī
sun liyā naam vafā kā hai kisī āshiq se
jaan ab kaahe ko chhoḌeñge vafādārī kī
ek tauba ke sivā kuchh na kiyā ham ne 'vasīm'
afv ke haath hai ab sharm gunahgārī kī