Waseem Khairabadi

qatre gire jo kuchh araq-e-infial ke

Waseem Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

-1929
qatre gire jo kuchh araq-e-infi.āl ke
dariyā bahā diye karam-e-zul-jalāl ke
pahlū se dil ko le ga.e vo dekh-bhāl ke
yūsuf ko le chale haiñ kueñ se nikāl ke
kyuuñ miTTī dene aa.e jo va.ada thā ġhair se
jaate kahāñ ho aañkh meñ tum ḳhaak Daal ke
labrez maiñ ne mai se na dekhā use kabhī
phūTe nasīb haiñ mire jām-e-sifāl ke
hai mujh meñ aur kohkan-o-qais meñ ye farq
maiñ vahshī-e-azal huuñ ye dīvāne haal ke
ho tuur par uruuj unheñ tū ho ġharq-e-nīl
fir.aun ye milā tujhe muusā ko paal ke
kahtī hai baḌh ke zulf kamar se dam-e-ḳhirām
rakh dūñgī maiñ kamar ke abhī bal nikāl ke
rakheñgī ab kahīñ kā na piirī kī laġhzisheñ
rakhnā qadam 'vasīm' bahut hī sambhāl ke
Top Urdushayar.com