Waseem Khairabadi

patthar nazar thi waiz-e-KHana-KHarab ki

Waseem Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

-1929
patthar nazar thī vā.iz-e-ḳhāna-ḳharāb kī
TuuTī hai kyā taḌāq se botal sharāb kī
kuchh āsmāñ ne ḳhaak uḌaa.ī pas-e-fanā
kuchh tum ne ai buto mirī miTTī ḳharāb kī
pī kar na zabt vā.iz-e-kam-zarf se huā
kyā apne saath mai kī bhī miTTī ḳharāb kī
kāñTā huuñ baaġh meñ to maiñ bijlī huuñ charḳh par
ye rañg-e-lāġharī hai vo shakl iztirāb kī
bū-e-sharāb aatī hai har ik nafas ke saath
pahlū meñ dil hai yā koī botal sharāb kī
lail-o-nahār bhī haiñ hasīnoñ ke vāste
din āftāb kā hai to shab māhtāb kī
mere gunah jo chashm-e-karam meñ samā ga.e
āñkheñ jhukā ke rah ga.ī mīzāñ hisāb kī
aa.ī jo ruuh paikar-e-ḳhākī meñ ai 'vasīm'
ghabrā ke bol uThī mirī miTTī ḳharāb kī
Top Urdushayar.com