Waseem Khairabadi

phul apne wasf sunte hain us KHush-nasib se

Waseem Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

-1929
phuul apne vasf sunte haiñ us ḳhush-nasīb se
kyā phuul jhaḌte haiñ dahan-e-andalīb se
afshāñ tirī jabīñ kī hamārī nazar meñ hai
ham dekhte haiñ arsh ke taare qarīb se
tanhā lahad meñ huuñ to dabāte haiñ ye mujhe
kyā kyā ulajh rahe haiñ malak mujh ġharīb se
ka.abe meñ un kā nuur madīne meñ hai zuhūr
ābād donoñ ghar haiñ ḳhudā ke habīb se
yārab burā ho dil kī taḌap kā ki bazm meñ
baiThe vo duur uTh ke hamāre qarīb se
mar jā.ūñ maiñ to jaao mubārak ho jān-e-man
allāh se mujhe tumheñ milnā raqīb se
pahlū-tahī jo kartī hai milne meñ merī nabz
kahte haiñ ye sharīr milī hai tabīb se
mamnūn huuñ maiñ hazrat-e-'naushād' kā 'vasīm'
milte haiñ kyā ba-lutf huzūr is ġharīb se
Top Urdushayar.com