Waseem Khairabadi

kam sitam karne mein qatil se nahin dil mera

Waseem Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

-1929
kam sitam karne meñ qātil se nahīñ dil merā
mere pahlū meñ chhupā baiThā hai qātil merā
vasl meñ yuuñ mire pahlū ko na pahlū se dabā
TuuT jaa.e na kahīñ ābla-e-dil merā
qatl hone na diyā us kī nazākat ne mujhe
rah gayā apnā sā muñh le ke vo qātil merā
un ko nashsha hai maiñ be-ḳhud huuñ yahī Dar hai mujhe
vo kahīñ haal na pūchheñ sar-e-mahfil merā
hichkiyāñ aa.iiñ dam-e-naza.a to qātil ne kahā
ab to letā hai maze maut ke bismil merā
vaqt-e-āḳhir koī rotā hai lipaT ke mujh se
ye ināyat hai to marnā bhī hai mushkil merā
dekhnā koī sar-e-arsh se taarā TuuTā
yā hasīñ aañkh se zālim kī girā dil merā
dast-basta ye kaho hazrat-e-'sāhir' se 'vasīm'
aap chāheñ to khule uqda-e-mushkil merā
Top Urdushayar.com