Waseem Khairabadi

sharir teri tarah aankh bhi teri hogi

Waseem Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

-1929
sharīr terī tarah aañkh bhī tirī hogī
uThā.ī hogī qayāmat bhī jab uThī hogī
fishār-e-gor se vo bhī to pis ga.ī hogī
jo dil meñ koī tamannā rahī-sahī hogī
bharā hai ḳhuub hī rindoñ ne us ko ai vaa.iz
isī se duḳhtar-e-raz aap se khiñchī hogī
sharāb aa ke to shīshe meñ ban ga.ī hai parī
jo aa.ī hogī ye dil meñ to kyā banī hogī
sharāb surḳh sī hogī siyāh botal meñ
asiir qila-e-āhan meñ ye parī hogī
sharāb pī ke sar-e-arsh aap pahuñcheñge
'vasīm' shaiḳh ko me.arāj-e-be-ḳhudī hogī
Top Urdushayar.com