naza.a meñ pyaar se kyuuñ pūchhte ho tum mujh ko
dam laboñ par hai nahīñ tāb-e-takallum mujh ko
qatl ġhusse meñ karo pher ke muñh tum mujh ko
dekhnā dekh na le chashm-e-tarahhum mujh ko
abhī bai.at maiñ karūñ dast-e-subū par saaqī
le chaleñ haath pakaḌ kar jo sū-e-ḳhum mujh ko
tab shab-e-vasl tirā shukr adā ho yārab
bahr-e-tasbīh mileñ dāna-e-anjum mujh ko
zarf aalī hai mirā arsh-e-barīñ par hai dimāġh
jaam ḳhurshīd kā gardūñ kā mile ḳhum mujh ko