ham ne us shoḳh kī ra.anā.ī qāmat dekhī
chaltī phirtī huī tasvīr-e-qayāmat dekhī
mohtasib jām-o-subū ghar meñ hamāre nikle
ham ne ye hazrat-e-zāhid kī karāmat dekhī
maiñ chalā dil kā janāza jo baġhal meñ le kar
bole maiñ ne yahī chaltī huī turbat dekhī
ham ga.e sū-e-adam tū na vahāñ se aayā
nāma-bar raah tirī tā-dam-e-rehlat dekhī
hai ye ta.abīr ki qad par tire āshiq hoñge
ḳhvāb meñ hazrat-e-zāhid ne qayāmat dekhī
aa ga.ī yaad mujhe vā.iz-o-nāseh kī 'vasīm'
zer-e-turbat jo nakīrain kī sūrat dekhī