balvā.iyoñ kā jis pe yahāñ kuchh asar na thā
vo ghar amīr-e-shahr kā thā merā ghar na thā
tahzīb-o-ilm-o-fan kī taraqqī kī raah meñ
mere alāva aur koī rāhbar na thā
maiñ bhī kahīñ kahīñ rahā ra.anā.iyoñ se duur
tū bhī kahīñ kahīñ pe sharīk-e-safar na thā
taaza ḳhabar meñ ham ne paḌhā hai ye dosto
bārish thī pattharoñ kī magar zaḳhm-e-sar na thā
samjhā thā rahnumā.ī karegā mirī magar
sūraj bhī tīrgī meñ sharīk-e-safar na thā
'nusrat' na jaane kyuuñ use aayā na kuchh ḳhayāl
hālāñki mere haal se vo be-ḳhabar na thā