saarī bāteñ ḳhvāb kī ta.abīr se miltī to haiñ
merī tahrīreñ tirī tasvīr se miltī to haiñ
vo sahar kī dilkashī ho yā shafaq kī surḳhiyāñ
kuchh na kuchh ye aap kī tasvīr se miltī to haiñ
ahl-e-sarvat aaj bhī larzāñ haiñ jin ke naam se
mushkileñ vo sab hameñ taqdīr se miltī to haiñ
ye haqīqat hai ayaañ tārīḳh ke aurāq se
zindagī kī rif.ateñ zanjīr se miltī to haiñ
sar-bulandī kāmyābī rāhateñ āzādiyāñ
aaj bhī ye jauhar-e-shamshīr se miltī to haiñ
tishna-lab rakkhā thā jis ne asġhar-e-ma.asūm ko
ḳhuun kī būñdeñ hameñ us tiir se miltī to haiñ
jin meñ 'nusrat' ek muddat ham bhaTakte hī rahe
zulmateñ vo aaj kī tanvīr se miltī to haiñ