jo har qadam pe añdheroñ se laḌne vaale haiñ
hamāre saath mohabbat ke vo ujāle haiñ
vo jānte haiñ jo tārīḳh paḌhne vaale haiñ
hamīñ ne gardish-e-daurāñ ke bal nikāle haiñ
banā.e phirte haiñ ham ḳhud ko ḳhush-libās magar
hamāre ghar meñ abhī makḌiyoñ ke jaale haiñ
ḳhulūs-o-rabt-o-mohabbat jinheñ mayassar hai
vo log kaun sī duniyā ke rahne vaale haiñ
dayār-e-ġhair meñ tum kyuuñ talāsh karte ho
hamāre shahr meñ kyā ahl-e-fan ke laale haiñ
jinheñ ye ahl-e-basīrat sameT laa.e the
vo hādse kisī āshufta sar ne Taale haiñ
hazār daur-e-taraqqī ke ba.ad bhī 'nusrat'
qadam qadam pe abhī 'mīr' ke havāle haiñ