jin ke andar charāġh jalte haiñ
ghar se bāhar vahī nikalte haiñ
barf girtī hai jin ilāqoñ meñ
dhuup ke kārobār chalte haiñ
aisī kaa.ī hai ab makānoñ par
dhuup ke paañv bhī phisalte haiñ
bastiyoñ kā shikār hotā hai
peḌ jab kursiyoñ meñ Dhalte haiñ
ḳhud-rasī umr bhar bhaTaktī hai
log itne pate badalte haiñ
ham to sūraj haiñ sard mulkoñ ke
muuD hotā hai tab nikalte haiñ