har lamha zindagī ke pasīne se tañg huuñ
maiñ bhī kisī qamīz ke collar kā rañg huuñ
mohara siyāsatoñ kā mirā naam aadmī
merā vajūd kyā hai ḳhalāoñ kī jañg huuñ
rishte guzar rahe haiñ liye din meñ battiyāñ
maiñ ādhunik sadī kī añdherī surañg huuñ
niklā huuñ ik naddī sā samundar ko DhūñDhne
kuchh duur kashtiyoñ ke abhī sañg-sañg huuñ
māñjhā koī yaqīn ke qābil nahīñ rahā
tanhā.iyoñ ke peḌ se aTkī patañg huuñ
ye kis kā dastaḳhat hai batā.e koī mujhe
maiñ apnā naam likh ke añgūThe sā dañg huuñ