Suryabhanu Gupt

ranj is ka nahin ki hum TuTe

Suryabhanu Gupt

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1940
rañj is kā nahīñ ki ham TuuTe
ye to achchhā huā bharam TuuTe
ek halkī sī Thes lagte hī
jaise koī gilass ham TuuTe
aa.ī thī jis hisāb se āñdhī
is ko socho to peḌ kam TuuTe
log choTeñ to pī ga.e lekin
dard karte hue raqam TuuTe
ā.īne ā.īne rahe garche
sāf-goī meñ dam-ba-dam TuuTe
shā.erī ishq bhuuk ḳhuddārī
umr bhar ham to har qadam TuuTe
bāñdh TuuTā nadī kā kuchh aise
jis tarah se koī qasam TuuTe
ek afvāh thī sabhī rishte
TūTnā tai thā aur ham TuuTe
zindagī kañghiyoñ meñ Dhaal hameñ
terī zulfoñ ke pech-o-ḳham TuuTe
tujh pe marte haiñ zindagī ab bhī
jhuuT likkheñ to ye qalam TuuTe
Top Urdushayar.com