jitnā chāhūñgī tum vahāñ tak ho
ab batāo ki tum kahāñ tak ho
nā-rasā.ī hī jag-hañsā.ī hai
haañ rasā.ī kī tum kamāñ tak ho
baat achchhī bhī hai magar phir bhī
is buḌhāpe meñ tum javāñ tak ho
apnī mauj-e-havas ke arse meñ
TuuTī kashtī ke bādbāñ tak ho
aaj ke daur meñ makāñ kaisā
āsmānoñ ke āsmāñ tak ho
apnī hastī meñ bad-gumānī thī
saañs meñ saañs ke gumāñ tak ho
umr kā hādisa shajar kyā thā
ik kalī ho to bāġhbāñ tak ho
bad-gumānī kā Dol-Dāl ke dekh
arsh par tum faqat ziyāñ tak ho
māvarā hai yahāñ na mā-sivā ko
tum jo baaqī ho bas gumāñ tak ho