mirā maazī mirī nafī hī to hai
har qadam par koī kamī hī to hai
ilm ko raushnī se kyā matlab
ye añdheroñ se dil-lagī hī to hai
mā-sivā thā na māvarā koī
koī tāqat kahīñ chhupī hī to hai
dil-nashīñ baat us kī lau sī thī
sham.a imshab vahī jalī hī to hai
baat kahne meñ kuchh nahīñ 'kausar'
ḳhushk nazroñ meñ kuchh namī hī to hai