koī qissa nayā sunā kar dekh
harf se harf ko milā kar dekh
jo bhī chādar bichhā ke baiThā hai
us se nazreñ sabhī milā kar dekh
nā-gahānī sī ik aafat hai
us ke bātin ko kuchh ghumā kar dekh
hīla-gar hai kisī nadāmat meñ
us ko rasta koī dikhā kar dekh
ḳhud pe zāhir nahīñ hai jo ik shaḳhs
us ko mus.haf koī paḌhā kar dekh
koī saada nahīñ jahāñ meñ ab
ḳhud ko saada yahāñ banā kar dekh
koī bachcha udaas baiThā hai
us ko tū bhī zarā hañsā kar dekh
tujh pe lāzim nahīñ hai ab 'kausar'
tū bhī pīchhā kabhī chhuḌā kar dekh