Haleem Qureshi

kamra to ye kahta hai kuchh aur hawa aae

Haleem Qureshi

1941
kamra to ye kahtā hai kuchh aur havā aa.e
khiḌkī se na guzre to dīvār haTā aa.e
sar par hai safar itnā ḳhāmosh ho tum jitnā
jiite ho ki marte ho koī to sadā aa.e
aage jo qadam rakkhā pīchhe kā na ġham rakhā
jis raah se ham guzre dīvār uThā aa.e
ai muntazim-e-hastī ik chhoTī sī ḳhvāhish hai
us din mujhe jiine de jis roz qazā aa.e
ab us ko numū dekheñ detā hai shajar kaise
TuuTī huī kuchh shāḳheñ miTTī meñ dabā aa.e
Top Urdushayar.com