mausam-e-hijr ke aane ke shikāyat nahīñ kī
ai mire dil tujhe kyā ho gayā vahshat nahīñ kī
koī ilzām koī tanz koī rusvā.ī
din bahut ho ga.e yāroñ ne ināyat nahīñ kī
lafz ke shauq meñ aisā bhī maqām aayā hai
juz kisī sher kī aamad koī hasrat nahīñ kī
jis ke nashshe meñ koī hijr guzār aa.e haiñ
vo ghaḌī vasl kī ham ne kabhī ruḳhsat nahīñ kī
ab tujhe kaise batā.eñ ki tirī yādoñ meñ
kuchh izāfa hī kiyā ham ne ḳhayānat nahīñ kī
saare me.aar vafāoñ ke nibhā.e ham ne
us ko chhoḌā to bahut soch ke, ujlat nahīñ kī
ishq dariyā bhī samundar bhī kināra bhī halīm
Dūbne vaale ko dekhā hai to hairat nahīñ kī