na pahuñchā saath yārāna-e-safar kī nā-tavānī se
maiñ sar paTkā kiyā ik umr sag-e-saḳht-jānī se
adā fahmān-e-shauq-e-vasl ho tūr-e-tajallī par
maza dīdār kā miltā hai bāñg-e-lan-tarānī se
murīd-e-murshīd-e-himmat huuñ maiñ merī tarīqat meñ
kafan bhī saath laanā nañg hai duniyā-e-fānī se
vo sargarm-e-bayān-e-sozish-e-dāġh-e-mohabbat huuñ
hazar kartā hai sho.ala bhī mirī ātish-bayānī se
hamāre ġhuncha-e-dil ko tabassum kī na dī fursat
rahā ham ko ye shikva lutma-e-bād-e-ḳhizānī se
sharāb-e-ishq kā sāġhar diyā hai mujh ko saaqī ne
na uTThūñgā maiñ mahshar ko bhī apnī sargirānī se
hameñ vo raah batlā.ī hai ḳhizr-e-ishq ne 'aishī'
niahān-e-raftgāñ paidā hai jis meñ be-nishānī se