raunaqeñ ābādiyāñ kyā kyā chaman kī yaad haiñ
bū-e-gul kī tarah ham gulshan ke ḳhāna-zād haiñ
jalva-farmā.ī kā muzhda kis ne bhejā hai ki aaj
dīda-o-dil ham-digar sarf-e-mubārakbād haiñ
kis kī mizhgāñ ne hamāre saath kāvish kī shurūa
ḳhuun ke qatre ragoñ meñ nashtar-e-fassād haiñ
yaañ razā mahbūb kī manzūr-e-ḳhātir hai faqat
vasl ho yā hijr ho har amr meñ ham shaad haiñ
kar chukā 'aishī' tavāf-e-ḳhāna-e-ka.aba kā qasd
jab talak hindostāñ kā mai-kada ābād hai