Arshad Siddiqui

inqilab-e-sahar-o-sham ki kuchh baat karo

Arshad Siddiqui

Sagar, Madhya Pradesh, India

1923-2003
inqilāb-e-sahar-o-shām kī kuchh baat karo
dosto gardish-e-ayyām kī kuchh baat karo
jām-o-mīnā to kahīñ aur se le ā.eñge
mai-kasho sāqī-e-gulfām kī kuchh baat karo
ġhair kī sub.h-e-daraḳhshāñ kā tasavvur kab tak
apnī kajlā.ī huī shaam kī kuchh baat karo
phir jalānā mah-o-ḳhurshīd kī mahfil meñ charāġh
pahle apne hī dar-o-bām kī kuchh baat karo
kyā ye TuuTe hue paimāne liye baiThe ho
bāda-nosho sitam-e-ām kī kuchh baat karo
zikr-e-firdaus-o-iram kal pe uThā rakhte haiñ
aaj to āriz-e-asnām kī kuchh baat karo
maiñ to ḳhair apnī vafāoñ pe huuñ nāzāñ lekin
vo jo tum par hai us ilzām kī kuchh baat karo
talḳhī-e-kām-o-dahan se kahīñ ġham dhulte haiñ
zālimo talḳhī-e-ayyām kī kuchh baat karo
itnā sannāTā ki ehsās kā dam ghuTtā hai
sub.h kā zikr karo shaam kī kuchh baat karo
vahī 'arshad' ki jalātā hai jo āñdhī meñ charāġh
haañ usī shā.ir-e-badnām kī kuchh baat karo
Top Urdushayar.com