diloñ se yās-o-alam ke naqāb utāro to
sahar bhī ruup dikhā.egī shab guzāro to
fazā ke siine meñ naġhmoñ ke lai utāro to
usī adā se zarā phir mujhe pukāro to
mire ġhamoñ ke dhundalke bhī chhaT hī jā.eñge
tum apne gesū-e-shab-rañg ko sañvāro to
kahāñ ga.e mujhe tārīkiyoñ meñ uljhā kar
hayāt-e-rafta ke lamho zarā pukāro to
ḳhizāñ-rasīda fazāoñ ko ro.o.ge kab tak
bahār gosh-bar-āvāz hai pukāro to
phir is ke ba.ad sahar hī sahar hai ai 'arshad'
ruḳh-e-hayāt ke tevar zarā nikhāro to