Arshad Siddiqui

KHwab aankhon mein nahin dil mein tamanna bhi nahin

Arshad Siddiqui

Sagar, Madhya Pradesh, India

1923-2003
ḳhvāb āñkhoñ meñ nahīñ dil meñ tamannā bhī nahīñ
ishq māyūs huā ho magar aisā bhī nahīñ
un kī ulfat meñ uThā.e haiñ hazāroñ ilzām
aaj tak aañkh uThā kar jinheñ dekhā bhī nahīñ
rāh-e-hastī meñ nigāheñ to bhaTak saktī haiñ
dil bhaTak jaa.e magar itnā añdherā bhī nahīñ
baḌh ke aa.e the ka.ī ġham pa.e taskīñ lekin
ġham-e-daurāñ ke muqābil koī Thahrā bhī nahīñ
sharam ai bāda-gusāroñ ki bharī mahfil meñ
baḌh ke ḳhud jaam uThā le koī aisā bhī nahīñ
kyā tamāshā hai ki aa.e haiñ tasallī dene
vo jinheñ dard-shanāsī kā salīqa bhī nahīñ
har nazar sat.h-e-tabassum pe Thahar jaatī hai
kyā zamāne meñ koī ġham kā shanāsā bhī nahīñ
laakh nāzuk sahī ummīd kā rishta lekin
dil ko ehsās kī tauhīn gavārā bhī nahīñ
zindagī ko na.e ḳhvāboñ se sajā kar laao
ye tabassum to mire ġham kā mudāvā bhī nahīñ
hādse ho chuke 'arshad' ġham-e-ulfat ke tamām
ab to shāyad dil-e-māyūs taḌaptā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com