Arshad Siddiqui

sitam ke mare lahu mein Dube hue nazaron ka kya karunga

Arshad Siddiqui

Sagar, Madhya Pradesh, India

1923-2003
sitam ke maare lahū meñ Duube hue nazāroñ kā kyā karūñgā
sisakte ġhuncho tumhīñ batāo maiñ in bahāroñ kā kyā karūñgā
jinheñ bharosa ho āsmāñ par vo āsmāñ se panāh māñgeñ
maiñ apne zarroñ se mutma.in huuñ maiñ chāñd-tāroñ kā kyā karūñgā
agar mujhe de sake zamāna to kuchh na.e zaḳhm aur de de
maiñ ġhamgusāroñ ko jāntā huuñ maiñ ġhamgusāroñ kā kyā karūñgā
haiñ shām-e-ġhurbat kī tīrgī meñ mujhe mire ashk hī ġhanīmat
ho jin kī qismat meñ ḳhud hī gardish maiñ un sitāroñ kā kyā karūñgā
maiñ ḳhud hī tūfāñ huuñ apnā sāhil nikāl lūñgā yahīñ kahīñ se
jahāñ safīne bhī Duub jaa.eñ maiñ un kināroñ kā kyā karūñgā
tumhāre dair-o-haram ke jalve tumheñ mubārak tumhīñ sambhālo
mujhe haqīqat kī justujū hai maiñ ḳhvāb-zāroñ kā kyā karūñgā
abhī to dāmān-e-ġhuncha-o-gul se lūñgā maiñ intiqām 'arshad'
abhī junūñ mo'atabar nahīñ hai abhī bahāroñ kā kyā karūñgā
Top Urdushayar.com