sarishk-e-ġham simaT kar dil ke armānoñ ko le Duube
ye sāhab-ḳhāna apne saath mehmānoñ ko le Duube
dikhā kar ḳhvāb-e-ḳhush-ā.inda firdaus-ḳhayālī ke
na.e shaddād ham ma.asūm insānoñ ko le Duube
banāte rah ga.e tanzīm-e-nau ke barahman ḳhāke
butoñ ke hausle tab tak sanam-ḳhānoñ ko le Duube
na jaane kah diyā shabnam ne kyā āñkhoñ hī āñkhoñ meñ
ki ġhunche thartharā.e aur gulistānoñ ko le Duube
ḳhumār-e-chashm-e-sāqī is qadar tauba-shikan tauba
ye do sāġhar na jaane kitne paimānoñ ko le Duube
sahar hone se pahle aisī ik añgḌā.ī ai saaqī
jo paimānoñ se ubhre aur mai-ḳhānoñ ko le Duube
fazāoñ ko umīd-e-rañg-o-bū thī jin se ai 'arshad'
vo ġhunche aaj khilte hī gulistānoñ ko le Duube