maiñ pursish-e-ġham-e-furqat kī daad detā huuñ
tirī latīf nadāmat kī daad detā huuñ
malāl-e-tark-e-marāsim to kuchh nahīñ lekin
is ehtiyāt-e-mohabbat kī daad detā huuñ
kahāñ bahisht kahāñ zindagī magar nāseh
maiñ tere husn-e-aqīdat kī daad detā huuñ
tabāhiyāñ bhī mohabbat ko raas aa na sakīñ
sitam-zarīfī-e-fitrat kī daad detā huuñ
o muskurā ke nigāhoñ ko pherne vaale
maiñ tere azm-e-baġhāvat kī daad detā huuñ
mire ḳhulūs ko lafzoñ se nāpne vaalo
tumhāre husn-e-basīrat kī daad detā huuñ
kisī se suntā huuñ jab dushmanī kā zikr 'arshad'
to dostoñ kī ināyat kī daad detā huuñ