qalb-o-nazar kā sukūñ aur kahāñ dosto
kū-e-butāñ dosto kū-e-butāñ dosto
merā hī dil hai ki maiñ phirtā huuñ yuuñ ḳhanda-zan
kam nahīñ pardes meñ dil kā ziyāñ dosto
jin meñ ḳhulūs-e-vafā aur na shu.ūr-e-sitam
mujh ko biThāyā hai ye lā ke kahāñ dosto
chaar ghaḌī raat hai aao ki hañs bol leñ
jaane sahar tak ho phir kaun kahāñ dosto
rabt-e-marāsim ke ba.ad tark-e-ta.alluq ġhalat
aag bujhāne se bhī hogā dhuāñ dosto
laakh chhupo sāya-e-gesū-e-shab-rañg meñ
mil nahīñ saktī magar ġham se amaañ dosto
shā.ir-e-'arshad' huuñ maiñ shā.er-e-fitrat huuñ maiñ
miT nahīñ saktā mirā nām-o-nishāñ dosto