Arshad Siddiqui

tere baghair gul-o-nastaran pe kya guzri

Arshad Siddiqui

Sagar, Madhya Pradesh, India

1923-2003
tire baġhair gul-o-nastaran pe kyā guzrī
na pūchh ab ke bahār-e-chaman pe kyā guzrī
ma.āl-e-jur.at-e-mansūr kuchh sahī lekin
savāl ye hai ki dār-o-rasan pe kyā guzrī
hamīñ to haiñ ki jo barq-o-sharar se khele haiñ
hamīñ se pūchh rahe ho chaman pe kyā guzrī
qafas meñ aaj ye kaise charāġh raushan haiñ
ilāhī ḳhair na jaane chaman pe kyā guzrī
pahuñch ke manzil-e-maqsad pe ye bhī socheñge
ki shab-ravī meñ dil-e-rāhzan pe kyā guzrī
mujhe shikast-e-nasheman kā ġham nahīñ lekin
ye sochtā huuñ ki ahl-e-chaman pe kyā guzrī
taraqqīyāñ to zamāne ne kiiñ bahut 'arshad'
magar batāo to arbāb-e-fan pe kyā guzrī
Top Urdushayar.com