fazā.eñ kaif-e-bahārāñ se jab mahaktī haiñ
to dil meñ choTeñ tirī yaad kī kasaktī haiñ
shafaq ke rañg bhī un kā javāb lā na sake
kisī ke chehre pe jo surḳhiyāñ damaktī haiñ
jinheñ tumhārā tabassum milā hai vo nazreñ
fazā meñ nuur ke naġhme bikher saktī haiñ
kabhī kabhī to sitāroñ ke narm saa.e meñ
kisī ke jism kī parchhā.iyāñ chamaktī haiñ
qadam qadam pe bichhātī hai jaal tīra-shabī
nafas nafas pe na.ī bijliyāñ chamaktī haiñ
jahāñ vo āñkheñ mirā intizār kartī thiiñ
ab un darīchoñ se māyūsiyāñ Tapaktī haiñ
sukūt-e-shab meñ tire intizār kā aalam
ki jaise duur kahīñ pā.eleñ khanaktī haiñ
unhīñ kā naam kahīñ mastī-e-bahār na ho
kalī ke siine meñ jo nik.hateñ dhaḌaktī haiñ
ho intizār kisī kā magar mirī nazreñ
na jaane kyuuñ tirī aamad kī raah taktī haiñ
jab un ke aane kī ummīd hī nahīñ 'arshad'
to phir nigāheñ ḳhalāoñ meñ kyuuñ bhaTaktī haiñ