Arshad Siddiqui

husn-e-masum agar raaz-e-nihan tak pahunche

Arshad Siddiqui

Sagar, Madhya Pradesh, India

1923-2003
husn-e-ma.asūm agar rāz-e-nihāñ tak pahuñche
ġham kā me.aar ḳhudā jaane kahāñ tak pahuñche
ishq meñ yuuñ to sabhī sūd-o-ziyāñ tak pahuñche
kam haiñ aise jo mire azm-e-javāñ tak pahuñche
ham pahuñchne ko to har vahm-o-gumāñ tak pahuñche
tum vahāñ ho ki nazar bhī na jahāñ tak pahuñche
vo musībat jise duniyā ġham-e-dil kahtī hai
maiñ na rokūñ to ḳhudā jaane kahāñ tak pahuñche
tum kahīñ jā ke chhupo da.avat-e-nazzāra to do
phir ye maqdūr-e-nazar hai ki jahāñ tak pahuñche
hukm hai chāhe gulistāñ kā gulistāñ jal jaa.e
haath lekin na koī barq-e-tapāñ tak pahuñche
tum rah-e-ishq meñ lillāh mirā saath na do
silsila ġham kā ḳhudā jaane kahāñ tak pahuñche
uf vo nazreñ jo mohabbat kā bharam rakh na sakeñ
haa.e vo kaif jo ehsās-e-garāñ tak pahuñche
rāz-e-ulfat maiñ chhupātā to huuñ lekin 'arshad'
Dar hai ehsās kī talḳhī na zabāñ tak pahuñche
Top Urdushayar.com