dil-e-barbād meñ phir us kī tamannā kyuuñ hai
har taraf shaam hai lekin ye ujālā kyuuñ hai
jis kī yādoñ ke diye ham ne bujhā rakkhe haiñ
phir vahī shaḳhs tasavvur meñ utartā kyuuñ hai
jāntā huuñ vo musāfir hai safar kartā hai
qarya-e-jāñ meñ magar aaj vo Thahrā kyuuñ hai
thak chukā hai tū añdheroñ meñ rahe merī tarah
chāñd ko kis kī talab hai ye nikaltā kyuuñ hai
maiñ vahī ḳhvāb huuñ palkoñ pe sajāyā thā jise
aaj ġhairoñ kī tarah tum ne pukārā kyuuñ hai
roz ik baat mire dil ko satātī hai 'ziyā'
is qadar TuuT ke tum ne use chāhā kyuuñ hai