ashk piite rahe har jaam pe hañste hañste
ro liye ḳhuub tire naam pe hañste hañste
is tarah chalte raheñ rāh-e-mohabbat meñ sadā
Thokareñ khā.eñ har ik gaam pe hañste hañste
kyuuñ ḳhatā ho ga.ī dānista tire kūche meñ
kyuuñ nazar pahuñchī tire baam pe hañste hañste
ishq meñ jazba-e-āshiq bhī ajab hotā hai
jaan detā hai tire naam pe hañste hañste
uljhaneñ apnī musībat kī baḌhā letī hai
zindagī gardish-e-ayyām pe hañste hañste
kaash hote to dikhāte unheñ aahoñ kā asar
so ga.e jo dil-e-nākām pe hañste hañste
ai 'ziyā' jaao sitāroñ meñ sahar ko DhūñDo
raat hone lagī ab shaam pe hañste hañste