Sayed Zia Alvi

aankh ke sahil par aate hi ashk hamare Dub gae

Sayed Zia Alvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1946
aañkh ke sāhil par aate hī ashk hamāre Duub ga.e
ġham kā sāvan itnā barsā saare sahāre Duub ga.e
is ko khel kaheñ qismat kā yā ham dariyā kī sāzish
tūfānoñ se bach nikle to aa ke kināre Duub ga.e
jazba-e-mohabbat ye to batā kab aa.egā aane vaalā
raat simaTtī jaatī hai aur chāñd sitāre Duub ga.e
nīl-gagan par uḌte panchhī lauT ke aa jā ghar apne
raat kā āñchal lahrāyā hai din ke nazāre Duub ga.e
dariyā ke vo paar hue haiñ chāhat se jo duur rahe
pyaar kī kashtī khene vaale sab bechāre Duub ga.e
un par kuchh paiġhām likhe the jo tujh se vābasta the
uḌte uḌte duur ufuq meñ jo ġhubbāre Duub ga.e
us ne to ham ko hī 'ziyā' dariyā meñ Dubonā chāhā thā
lekin the jo saath hamāre vo bhī saare Duub ga.e
Top Urdushayar.com