Sayed Zia Alvi

bistar-e-hijr ki shiknon pe kahani likh de

Sayed Zia Alvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1946
bistar-e-hijr kī shiknoñ pe kahānī likh de
aaj kī raat mire naam suhānī likh de
biite sāloñ kī tarah dushman-e-jānī likh de
ab ke ḳhat meñ tū koī baat purānī likh de
pyaas is ret kī ashkoñ se bujhā.ūñ kaise
ḳhushk dariyā ke muqaddar meñ bhī paanī likh de
husn kā Dhalnā zarūrī hai magar ai mālik
us ke chehre pe mire dil kī javānī likh de
ḳhush-naves aa ki tirā fan bhī mahak jā.egā
barg-e-sarsabz pe ik raat kī raanī likh de
jitnā chāhe mujhe ġham aur atā kar lekin
us ke hoñToñ pe tabassum kī ravānī likh de
Top Urdushayar.com