kisī ko kuchh nahīñ miltā hai aarzū ke baġhair
magar ye kaun milā mujh ko justujū ke baġhair
ajiib tarz-e-mulāqāt thā sar-e-mahfil
payām saare mile mujh ko guftugū ke baġhair
mire jigar kā lahū hai vafāoñ kā zāmin
hinā bhī us kī adhūrī hai is lahū ke baġhair
ḳhumār o kaif meñ āñkheñ haiñ mai-kade jaisī
nashe meñ chuur huuñ maiñ bhī kisī subū ke baġhair
havā ne ḳhaar se mil kar ḳharāsheñ Dālīñ par
qabā-e-gul to mahaktī rahī rafū ke baġhair
hamāre zikr pe hañgāma ho gayā akasr
liyā hai naam kahāñ us ne hāv-hū ke baġhair
fazā udaas hai is vāste 'ziyā'-sāhib
bahār kaise chale mere māh-rū ke baġhair