Sayed Zia Alvi

tere tasawwuraat se bachna hai ab muhaal bhi

Sayed Zia Alvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1946
tere tasavvurāt se bachnā hai ab muhāl bhī
kuchh to hai terī fikr bhī kuchh hai tirā ḳhayāl bhī
ai dost aa ke dekh le ishq kā ye kamāl bhī
tū hī mirā javāb hai tū hī mirā savāl bhī
aa.ī tumhārī yaad jab Dhal ga.ī lamhoñ meñ sadī
aisā lagā ki ruk ga.ī gardish-e-māh-o-sāl bhī
duurī ke bāvajūd bhī Takrā rahī hai saañs ab
aisī judā.ī par karūñ qurbān sad-visāl bhī
koī zamāne meñ nahīñ jis pe ho terā aks bhī
kis se misāl duuñ tirī miltī nahīñ misāl bhī
naaz kabhī na kījiye apne urūj-e-hāl par
ba.ad-e-kamāl ai 'ziyā' aatā hai ik zavāl bhī
Top Urdushayar.com