Sayed Zia Alvi

dil ka dilbar jab se dil ki dhaDkan hone wala hai

Sayed Zia Alvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1946
dil kā dilbar jab se dil kī dhaḌkan hone vaalā hai
suunā suunā merā āñgan gulshan hone vaalā hai
us kī āñkhoñ meñ bhī har dam aks mirā hī rahtā hai
ab to merā chehra us kā darpan hone vaalā hai
naaz karūñ yā faḳhr karūñ maiñ sab kuchh hai lāzim mujh ko
rafta rafta dil meñ us kā maskan hone vaalā hai
pyaar ke jazbe us ke dil meñ jaage haiñ aur jāgeñge
merī qismat kā bhī taarā raushan hone vaalā hai
us se mil kar dil kā jañgal bhiig rahā hai us ke aise
sāvan se bhī pahle jaise sāvan hone vaalā hai
dekh ke us kī sundartā ko sab sundar ho jaate haiñ
us kī galī kā har ik chehra kundan hone vaalā hai
us kī mohabbat ke sadqe meñ us kī mohak chāhat meñ
ab to 'ziyā' kā bhaag yaqīnan raushan hone vaalā hai
Top Urdushayar.com