rahmat ban ke utrī thī kyoñ zahmat ban ga.ī beTī
merā jurm-e-gunah batlā do pūchhtī rah ga.ī beTī
baḌhtī huī takrār jahez kī aur ġhurbat kā bojh
apne aap ko aag lagā ke phir ik mar ga.ī beTī
bāġhī nā-farmān banī aur kabhī kalañk kā Tiika
haq kī ḳhātir jab bhī kisī usuul pe aḌ ga.ī beTī
ye laḌkī kamzor sī laḌkī mariyam bhī hai zohra bhī
rābiya-basrī banī to phir valiyoñ se baḌh ga.ī beTī