Azhar Iqbal

hui na KHatm teri rahguzar kya karte

Azhar Iqbal

Meerut, Uttar pradesh, India

1978
huī na ḳhatm terī rahguzār kyā karte
tere hisār se ḳhud ko farār kyā karte
safīna ġharq hī karnā paḌā hameñ āḳhir
tire baġhair samundar ko paar kyā karte
bas ek sukūt hī jis kā javāb honā thā
vahī savāl miyāñ baar baar kyā karte
phir is ke ba.ad manāyā na jashn ḳhushbū kā
lahū meñ Duubī thī fasl-e-bahār kyā karte
nazar kī zad meñ na.e phuul aa ga.e 'az.har'
ga.ī rutoñ kā bhalā intizār kyā karte
Top Urdushayar.com