huā kuchh yuuñ ki pachhtā.e bahut haiñ
tumheñ sochā sharmā.e bahut haiñ
jise phūloñ ke tohfe ham ne bheje
usī ne sañg barsā.e bahut haiñ
jo sach pūchho to ab ke yuuñ huā hai
tere ġham se bhī uktā.e bahut haiñ
chubhe paañv meñ kāñTe yaad aayā
ki ham ne pel Thukrā.e bahut haiñ
aur ab to ġham chhupānā aa gayā hai
ki aañsū pī ke muskā.e bahut haiñ
musalsal kar liyā patjhaḌ ko mehmāñ
ye mausam dil ko raas aa.e bahut haiñ
ye aañsū bhī navāzish haiñ usī kī
karam bhī jis ne farmā.e bahut haiñ
merī chāhat bhī sikkoñ meñ tulī hai
tahī-dāman the sharmā.e bahut haiñ